zindagi ki tha alaamat ik hunar be-jaan sa | ज़िंदगी की था अलामत इक हुनर बे-जान सा

  - Wafa Naqvi

zindagi ki tha alaamat ik hunar be-jaan sa
rah gaya tasveer koi dekh kar hairaan sa

teri yaadein dafn kar deti hain us ke zor ko
roz uthata to hai dil mein jaa-b-jaa toofaan sa

raunq-e-shehr-e-riya taakheer honi thi hui
raaste mein pad gaya tha ik khandar veeraan sa

aap aayenge to vehshat saath le kar aayenge
raasta aata hai mere ghar pe ik sunsaan sa

poochne aata nahin koi mere haalaat ab
main watan mein ho gaya hoon apne hi anjaan sa

jab safar tay kar liya tab is ka andaaza hua
dekhne ko raasta to tha bahut aasaan sa

koi pooche raahbar se rakht-e-jaan rakht-e-safar
qaafila jaata kahaan hai be-sar-o-saamaan sa

kaaghazi phoolon pe titli koi aayi nahin
mez par rakha hua tha yun to ik gul-daan sa

ज़िंदगी की था अलामत इक हुनर बे-जान सा
रह गया तस्वीर कोई देख कर हैरान सा

तेरी यादें दफ़्न कर देती हैं उस के ज़ोर को
रोज़ उठता तो है दिल में जा-ब-जा तूफ़ान सा

रौनक़-ए-शहर-ए-रिया ताख़ीर होनी थी हुई
रास्ते में पड़ गया था इक खंडर वीरान सा

आप आएँगे तो वहशत साथ ले कर आएँगे
रास्ता आता है मेरे घर पे इक सुनसान सा

पूछने आता नहीं कोई मिरे हालात अब
मैं वतन में हो गया हूँ अपने ही अंजान सा

जब सफ़र तय कर लिया तब इस का अंदाज़ा हुआ
देखने को रास्ता तो था बहुत आसान सा

कोई पूछे राहबर से रख़्त-ए-जाँ रख़्त-ए-सफ़र
क़ाफ़िला जाता कहाँ है बे-सर-ओ-सामान सा

काग़ज़ी फूलों पे तितली कोई आई नहीं
मेज़ पर रक्खा हुआ था यूँ तो इक गुल-दान सा

  - Wafa Naqvi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wafa Naqvi

As you were reading Shayari by Wafa Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Wafa Naqvi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari