main raaste mein jahaan thehra hua tha
wahin to dhoop ka chehra khila tha
sabhi alfaaz the meri zabaan ke
magar main ne kahaan kuchh bhi kaha tha
vo kis ke jism ki khushboo thi aakhir
hawa se tazkira kis ka suna tha
samundar mein bahut halchal thi ik din
safeena kis ka dooba ja raha tha
ki jaise khwaab sa dekha tha koi
bas itna yaad hai koi mila tha
khandar mein ghoomti phirti theen yaadein
udaasi ka ajab manzar saja tha
meri mitti ki himmat badh gai thi
mere raaste mein dariya aa gaya tha
मैं रस्ते में जहाँ ठहरा हुआ था
वहीं तो धूप का चेहरा खिला था
सभी अल्फ़ाज़ थे मेरी ज़बाँ के
मगर मैं ने कहाँ कुछ भी कहा था
वो किस के जिस्म की ख़ुश्बू थी आख़िर
हवा से तज़्किरा किस का सुना था
समुंदर में बहुत हलचल थी इक दिन
सफ़ीना किस का डूबा जा रहा था
कि जैसे ख़्वाब सा देखा था कोई
बस इतना याद है कोई मिला था
खंडर में घूमती फिरती थीं यादें
उदासी का अजब मंज़र सजा था
मिरी मिट्टी की हिम्मत बढ़ गई थी
मिरे रस्ते में दरिया आ गया था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Naqvi
our suggestion based on Wafa Naqvi
As you were reading Badan Shayari Shayari