ye theek hai vo ham ko mayassar nahin hua | ये ठीक है वो हम को मयस्सर नहीं हुआ

  - Wafa Naqvi

ye theek hai vo ham ko mayassar nahin hua
lekin kahaan kahaan vo munavvar nahin hua

lautaa jo shaam ko to koi muntazir na tha
is baar be-qaraar mera ghar nahin hua

kya jaane kab utarne lage vo dimaagh par
koi junoon ka waqt mukarrar nahin hua

sab jeetne ki zid pe yahan haarne lage
sadiyon se koi shakhs sikandar nahin hua

baazu to kat ke jud gaye meri hayaat se
lekin abhi naseeb mujhe sar nahin hua

fal tod leta aaj main apni hayaat ka
achha hua ki haath mein patthar nahin hua

sehra se laakhon baar nichodhi gai hai pyaas
phir bhi samundron ka gala tar nahin hua

ये ठीक है वो हम को मयस्सर नहीं हुआ
लेकिन कहाँ कहाँ वो मुनव्वर नहीं हुआ

लौटा जो शाम को तो कोई मुंतज़िर न था
इस बार बे-क़रार मिरा घर नहीं हुआ

क्या जाने कब उतरने लगे वो दिमाग़ पर
कोई जुनूँ का वक़्त मुक़र्रर नहीं हुआ

सब जीतने की ज़िद पे यहाँ हारने लगे
सदियों से कोई शख़्स सिकंदर नहीं हुआ

बाज़ू तो कट के जुड़ गए मेरी हयात से
लेकिन अभी नसीब मुझे सर नहीं हुआ

फल तोड़ लेता आज मैं अपनी हयात का
अच्छा हुआ कि हाथ में पत्थर नहीं हुआ

सहरा से लाखों बार निचोड़ी गई है प्यास
फिर भी समुंदरों का गला तर नहीं हुआ

  - Wafa Naqvi

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wafa Naqvi

As you were reading Shayari by Wafa Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Wafa Naqvi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari