kabhi jo dhoop hamaare makaan mein aa jaaye
to saaya-daar shajar bhi amaan mein aa jaaye
main shahzaada nahin to faqeer hi behtar
kahi to zikr mera dastaan mein aa jaaye
main tera naam saleeqe se to pukaaroon magar
khuda-n-khwasta luknat zabaan mein aa jaaye
kise dubona hai aur kis ko paar karna hai
shu'ur itna to aab-e-ravaan mein aa jaaye
main ek lamhe ko sadiyon ki zindagi samjhoon
mera yaqeen jo hisaar-e-gumaan mein aa jaaye
jhuls chuka hai bahut dhoop mein badan mera
so us se kehta hoon ab saaebaan mein aa jaaye
main apni aql se kuchh aur kaam le loonga
kabhi ye dil bhi mera imtihaan mein aa jaaye
safar ki saari aziyyat pe khaak udti hai
bhatk ke koi agar kaarwaan mein aa jaaye
main jis ko raaz bataata hoon apni khilwat ke
ajab nahin ki saf-e-dushmanan mein aa jaaye
कभी जो धूप हमारे मकाँ में आ जाए
तो साया-दार शजर भी अमाँ में आ जाए
मैं शाहज़ादा नहीं तो फ़क़ीर ही बेहतर
कहीं तो ज़िक्र मिरा दास्ताँ में आ जाए
मैं तेरा नाम सलीक़े से तो पुकारूँ मगर
ख़ुदा-न-ख़्वास्ता लुक्नत ज़बाँ में आ जाए
किसे डुबोना है और किस को पार करना है
शुऊ'र इतना तो आब-ए-रवाँ में आ जाए
मैं एक लम्हे को सदियों की ज़िंदगी समझूँ
मिरा यक़ीं जो हिसार-ए-गुमाँ में आ जाए
झुलस चुका है बहुत धूप में बदन मेरा
सो उस से कहता हूँ अब साएबाँ में आ जाए
मैं अपनी अक़्ल से कुछ और काम ले लूँगा
कभी ये दिल भी मिरा इम्तिहाँ में आ जाए
सफ़र की सारी अज़िय्यत पे ख़ाक उड़ती है
भटक के कोई अगर कारवाँ में आ जाए
मैं जिस को राज़ बताता हूँ अपनी ख़ल्वत के
अजब नहीं कि सफ़-ए-दुश्मनाँ में आ जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Naqvi
our suggestion based on Wafa Naqvi
As you were reading Raaz Shayari Shayari