kahi ye khwaab mera zindagi na ban jaaye | कहीं ये ख़्वाब मिरा ज़िंदगी न बन जाए

  - Wafa Naqvi

kahi ye khwaab mera zindagi na ban jaaye
charaagh bujhta hua raushni na ban jaaye

main is khayal se rota nahin hoon sehra mein
kahi ye dasht kisi din nadi na ban jaaye

iraada kar to rahe ho use chalaane ka
magar ye teer tumhaara hasi na ban jaaye

azaab-e-wasl gawara to hai hamein lekin
ye ek lamha rahe ik sadi na ban jaaye

ajeeb rang hain kheeche hi ja rahe hain mujhe
jo main banata nahin hoon wahi na ban jaaye

samundron mein jise main ne bahte dekha hai
mera naseeb vo tishna-labi na ban jaaye

bhatk raha hai bahut raat-din koi mahtaab
makaan us ka kahi be-ghari na ban jaaye

tamaam-umr jo tanhaai mein raha meri
vo anjuman mein kahi ajnabi na ban jaaye

usi khayal se tode gaye sabhi kashkol
hamaare shehar mein koi sakhi ban jaaye

कहीं ये ख़्वाब मिरा ज़िंदगी न बन जाए
चराग़ बुझता हुआ रौशनी न बन जाए

मैं इस ख़याल से रोता नहीं हूँ सहरा में
कहीं ये दश्त किसी दिन नदी न बन जाए

इरादा कर तो रहे हो उसे चलाने का
मगर ये तीर तुम्हारा हँसी न बन जाए

अज़ाब-ए-वस्ल गवारा तो है हमें लेकिन
ये एक लम्हा रहे इक सदी न बन जाए

अजीब रंग हैं खींचे ही जा रहे हैं मुझे
जो मैं बनाता नहीं हूँ वही न बन जाए

समुंदरों में जिसे मैं ने बहते देखा है
मिरा नसीब वो तिश्ना-लबी न बन जाए

भटक रहा है बहुत रात-दिन कोई महताब
मकान उस का कहीं बे-घरी न बन जाए

तमाम-उम्र जो तन्हाई में रहा मेरी
वो अंजुमन में कहीं अजनबी न बन जाए

उसी ख़याल से तोड़े गए सभी कश्कोल
हमारे शहर में कोई सख़ी बन जाए

  - Wafa Naqvi

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wafa Naqvi

As you were reading Shayari by Wafa Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Wafa Naqvi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari