samundron se kabhi dasht se guzarne mein | समुंदरों से कभी दश्त से गुज़रने में

  - Wafa Naqvi

samundron se kabhi dasht se guzarne mein
hue tamaam safar zindagi ka karne mein

bas us ne aa ke zara aaine ko dekha tha
zara si der lagi raushni bikharna mein

bichadna shaakh se kal bhi hai aur aaj bhi hai
to aandhiyon se bhala kya rakha hai darne mein

main be-sabab hi mukhaatab hua dariche se
naha raha tha vo yaadon ke ek jharne mein

bas ek pal ki tamanna-e-vasl ki khaatir
tamaam-umr laga di gai sanwarne mein

ye aur baat junoon ko sukoon mile mile na mile
tabeeb lag to gaye ek zakham bharne mein

na jaane saare parinde kahaan hue ghaaeb
maza raha hi nahin saaye mein thehrne mein

समुंदरों से कभी दश्त से गुज़रने में
हुए तमाम सफ़र ज़िंदगी का करने में

बस उस ने आ के ज़रा आइने को देखा था
ज़रा सी देर लगी रौशनी बिखरने में

बिछड़ना शाख़ से कल भी है और आज भी है
तो आँधियों से भला क्या रखा है डरने में

मैं बे-सबब ही मुख़ातब हुआ दरीचे से
नहा रहा था वो यादों के एक झरने में

बस एक पल की तमन्ना-ए-वस्ल की ख़ातिर
तमाम-उम्र लगा दी गई सँवरने में

ये और बात जुनूँ को सुकूँ मिले मिले न मिले
तबीब लग तो गए एक ज़ख़्म भरने में

न जाने सारे परिंदे कहाँ हुए ग़ाएब
मज़ा रहा ही नहीं साए में ठहरने में

  - Wafa Naqvi

Chaaragar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wafa Naqvi

As you were reading Shayari by Wafa Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Wafa Naqvi

Similar Moods

As you were reading Chaaragar Shayari Shayari