charaagh jab se mere teergi se haar gaye | चराग़ जब से मिरे तीरगी से हार गए

  - Wafa Naqvi

charaagh jab se mere teergi se haar gaye
hawa se haath milaane ko saare yaar gaye

har ek baar safar mera mukhtasar kyun tha
safeene mujh ko hi saahil pe kyun utaar gaye

tiri saraaye mein saamaan kahaan sukoon ka tha
kisi tarah se musaafir bhi shab guzaar gaye

main jin ko saaye mein rakhta tha tapte sehra mein
gazab hai log wahi mujh pe sang maar gaye

hui jo shaam to laute watan mein apne hi
parinde yun to bahut sarhadon ke paar gaye

bureeda-sar hi nahin the lahu mein doobe hue
suna hai neze adoo ke bhi ashk-baar gaye

badan pe sab ke qabaayein theen surkh aankhon ki
ajab tarah se khizaon mein gul-e-ezaar gaye

चराग़ जब से मिरे तीरगी से हार गए
हवा से हाथ मिलाने को सारे यार गए

हर एक बार सफ़र मेरा मुख़्तसर क्यूँ था
सफ़ीने मुझ को ही साहिल पे क्यूँ उतार गए

तिरी सराए में सामाँ कहाँ सुकून का था
किसी तरह से मुसाफ़िर भी शब गुज़ार गए

मैं जिन को साए में रखता था तपते सहरा में
ग़ज़ब है लोग वही मुझ पे संग मार गए

हुई जो शाम तो लौटे वतन में अपने ही
परिंदे यूँ तो बहुत सरहदों के पार गए

बुरीदा-सर ही नहीं थे लहू में डूबे हुए
सुना है नेज़े अदू के भी अश्क-बार गए

बदन पे सब के क़बाएँ थीं सुर्ख़ आँखों की
अजब तरह से ख़िज़ाओं में गुल-ए-एज़ार गए

  - Wafa Naqvi

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wafa Naqvi

As you were reading Shayari by Wafa Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Wafa Naqvi

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari