badi udaas hain shaamen tire visaal ke ba'ad | बड़ी उदास हैं शामें तिरे विसाल के बा'द

  - Wafa Naqvi

badi udaas hain shaamen tire visaal ke ba'ad
ki zakham phir se ubhar aaye indimaal ke ba'ad

tumhaari baat hi tasleem ki bahr-soorat
zamaane bhar ke dimaagon ne qeel-o-qaal ke ba'ad

kahaan hoon kaun hoon kaisa hoon main kahaan ka hoon
koi khayal na aaya tire khayal ke ba'ad

hui naseeb na izzat hayaat mein jis ko
saja hua tha wahi ghar mein intiqaal ke ba'ad

bhula sakegi na suraj ki daastaan zameen
gaya hai khema-e-shab mein vo kis kamaal ke ba'ad

khamoshiyon ki zabaanen hain surkh aankhon mein
ajeeb tarz-e-takallum hai ik sawaal ke ba'ad

बड़ी उदास हैं शामें तिरे विसाल के बा'द
कि ज़ख़्म फिर से उभर आए इंदिमाल के बा'द

तुम्हारी बात ही तस्लीम की बहर-सूरत
ज़माने भर के दिमाग़ों ने क़ील-ओ-क़ाल के बा'द

कहाँ हूँ कौन हूँ कैसा हूँ मैं कहाँ का हूँ
कोई ख़याल न आया तिरे ख़याल के बा'द

हुई नसीब न इज़्ज़त हयात में जिस को
सजा हुआ था वही घर में इंतिक़ाल के बा'द

भुला सकेगी न सूरज की दास्तान ज़मीन
गया है ख़ेमा-ए-शब में वो किस कमाल के बा'द

ख़मोशियों की ज़बानें हैं सुर्ख़ आँखों में
अजीब तर्ज़-ए-तकल्लुम है इक सवाल के बा'द

  - Wafa Naqvi

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wafa Naqvi

As you were reading Shayari by Wafa Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Wafa Naqvi

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari