kisi ke deeda-e-tar ko nazar mein rakhte hain
safar mein khud ko magar dil ko ghar mein rakhte hain
palatna padta hai har shaam un parindon ko
na jaane kaun si shay ko shajar mein rakhte hain
khuli fazaaon ki wusa'at vo kaise samjhenge
jo qaid khwaab ko deewar-o-dar mein rakhte hain
pukaarte hain unhen un ke ghar ke sannaate
vo apne-aap ko kyun raahguzaar mein rakhte hain
khuloos rakhte hain lekin jhuka nahin karte
ana ka rang bhi thoda hunar mein rakhte hain
किसी के दीदा-ए-तर को नज़र में रखते हैं
सफ़र में ख़ुद को मगर दिल को घर में रखते हैं
पलटना पड़ता है हर शाम उन परिंदों को
न जाने कौन सी शय को शजर में रखते हैं
खुली फ़ज़ाओं की वुसअ'त वो कैसे समझेंगे
जो क़ैद ख़्वाब को दीवार-ओ-दर में रखते हैं
पुकारते हैं उन्हें उन के घर के सन्नाटे
वो अपने-आप को क्यूँ रहगुज़र में रखते हैं
ख़ुलूस रखते हैं लेकिन झुका नहीं करते
अना का रंग भी थोड़ा हुनर में रखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Naqvi
our suggestion based on Wafa Naqvi
As you were reading Fantasy Shayari Shayari