naaf kattee hai zakham jalta hai
khauf dhadkan ke saath chalta hai
har rag-e-jaan mein sarsaraata hai
saans ke saath aata jaata hai
khaal ko chaal. se milaati hai
sansanee rangte banaati hai
taq-e-jaan mein charaagh rakhta hai
khaif-e-vahshat ka tel chakhta hai
sajda-e-gham mein gir gaya zaahid
sarsarati jabeen mein khauf liye
ho gaya angbeen se namkeen
zaa'ika aasteen mein khauf liye
saanp lashkar ke saath chalta hai
memna maisra mein khauf liye
husn ghamze ke dam se qaaim hai
apni har har ada mein khauf liye
zindagi ek farsh hai jis par
dar uthaaye to haul bichhta hai
shaahraah-e-hayaat ke oopar
khauf ka taarkol bichhta hai
mazhab ijaad karta rehta hai
maabad aabaad karta rehta hai
ye to andar ki sang saari hai
khauf barbaad karta rehta hai
fahm o daanish ke zard saudaagar
vasvason ki kapaas bechte hain
rooh ki market un ki hai
jo aqeede hiraas bechte hain
zindagi hum-safar hai lekin khauf
raaste mein utaar deta hai
parcha-e-jaan ke har shumaare mein
waahima ishtehaar deta hai
maut khud maarti nahin jitna
maut ka khauf maar deta hai
नाफ़ कटती है ज़ख़्म जलता है
ख़ौफ़ धड़कन के साथ चलता है
हर रग-ए-जाँ में सरसराता है
साँस के साथ आता जाता है
खाल को छाल से मिलाती है
सनसनी रौंगटे बनाती है
ताक़-ए-जाँ में चराग़ रखता है
ख़ैफ़-ए-वहशत का तेल चखता है
सज्दा-ए-ग़म में गिर गया ज़ाहिद
सरसराती जबीं में ख़ौफ़ लिए
हो गया अंग्बीन से नमकीन
ज़ाइक़ा आस्तीं में ख़ौफ़ लिए
साँप लश्कर के साथ चलता है
मेमना मैसरा में ख़ौफ़ लिए
हुस्न ग़म्ज़े के दम से क़ाएम है
अपनी हर हर अदा में ख़ौफ़ लिए
ज़िंदगी एक फ़र्श है जिस पर
डर उठाएँ तो हौल बिछता है
शाहराह-ए-हयात के ऊपर
ख़ौफ़ का तारकोल बिछता है
मज़हब ईजाद करता रहता है
माबद आबाद करता रहता है
ये तो अंदर की संग सारी है
ख़ौफ़ बर्बाद करता रहता है
फ़हम ओ दानिश के ज़र्द सौदागर
वसवसों की कपास बेचते हैं
रूह की मार्किट उन की है
जो अक़ीदे हिरास बेचते हैं
ज़िंदगी हम-सफ़र है लेकिन ख़ौफ़
रास्ते में उतार देता है
परचा-ए-जाँ के हर शुमारे में
वाहिमा इश्तिहार देता है
मौत ख़ुद मारती नहीं जितना
मौत का ख़ौफ़ मार देता है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Waheed Ahmad
As you were reading Mazhab Shayari Shayari