shaam mein ghaar tha
ghaar mein raat thi
raat ke nam andhere mein ik ajnabiyat ka ehsaas tha
chalti saanson ki hilti hui satah par
waqt ki naav thehri hui thi
sansanaate hue nam andhere mein pauren dhadkane lagin
ghaar mein mahw-e-parwaaz palkon ke panchi uljhane lage
ghaar mein shaam thi
chand lamhon mein sadiyaan basar kar ke jab
ghaar ke daur se ham zamaane mein aaye
to dhalti hue din ki geeli chamak pattharon par jamee thi
mud ke dekha to palkon ko parwa lagi
aur makhmoor aankhon ko sapna laga
goonjte ghaar ka nam andhera hamein apna apna laga
ghaar ne kuchh to jaane diya kuchh hamein rakh liya tha
nihaayat subuksaar the
aise chalte the jaise zameen ke makeen
kurra-e-maah par chal rahe hon
shaam ke ped par ik parinda
gajrataan bheron mein gaane laga
waqt ka saanvala ped hai
ped ke malgaje paat hain
dil ke apne zamaan o makaan
shaam ke apne din raat hain
शाम में ग़ार था
ग़ार में रात थी
रात के नम अंधेरे में इक अजनबियत का एहसास था
चलती साँसों की हिलती हुई सतह पर
वक़्त की नाव ठहरी हुई थी
सनसनाते हुए नम अंधेरे में पौरें धड़कने लगीं
ग़ार में महव-ए-परवाज़ पलकों के पंछी उलझने लगे
ग़ार में शाम थी
चंद लम्हों में सदियाँ बसर कर के जब
ग़ार के दौर से हम ज़माने में आए
तो ढलते हुए दिन की गीली चमक पत्थरों पर जमी थी
मुड़ के देखा तो पलकों को परवा लगी
और मख़मूर आँखों को सपना लगा
गूँजते ग़ार का नम अंधेरा हमें अपना अपना लगा
ग़ार ने कुछ तो जाने दिया कुछ हमें रख लिया था
निहायत सुबुकसार थे
ऐसे चलते थे जैसे ज़मीं के मकीं
कुर्रा-ए-माह पर चल रहे हों
शाम के पेड़ पर इक परिंदा
गजरतान भेरों में गाने लगा
वक़्त का साँवला पेड़ है
पेड़ के मल्गजे पात हैं
दिल के अपने ज़मान ओ मकाँ
शाम के अपने दिन रात हैं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Waheed Ahmad
As you were reading Khwab Shayari Shayari