ye hota hai | ये होता है

  - Waheed Ahmad

ye hota hai
koi maane na maane
ye to hota hai
kisi phaile hue lamhe kisi simte hue din
ya akeli raat mein hota hai
sab ke saath hota hai
badan ke khoon ka loha khayaalon ke alaav mein ubal kar
surkh neze ki anee ko sar ki jaanib fenkta hai
aur phir shehteer gir jaata hai
jis par khud farebi patli eenton ki chinaai karti rahti thi
ye mera maal fitna hai
mere maa baap saaya hain
meri aulaad fitna hai
bahut tanhaa hai insaan
keemiya-gar ke pyaale se gire qatre ke paare ki tarah tanhaa
safar karte hue taaron ke jhurmut mein khade
qutbi sitaare ki tarah tanhaa

ye sab
hanste hue lab roti aankhen
hanjre ke jof se lahara ke nikli saari aawaazen
ye gaate naachte logon ke jhurmut
ishwa o naaz o ada se kheenchte paikar
ye saari sair-beeni khud-farebi hai
ye saari yaar-baashi aur sab sahra-nasheeni khud-farebi hai
main apni maa ke pehle doodh se dard-e-tah har jaam tak
tanhaai ke ik khat pe chalta ja raha hoon
main akela hoon
main bazm dostaan ke qahqahon ke goonj mein doobe
khudka dasht ki larzish mein paani dhundhta hoon
main akela hoon

meri tanhaai
maa jaai
jo mere saath paida ho ke mele mein kahi gum ho gai thi
meri boo ki dhundti
mere lahu ko soonghti waapas chali aayi hai
mere saamne baithi hai
mujh ko dekhti hai
us ka har taar-e-nazar aankhon se daakhil ho ke
meri khopdi ki pusht se baahar nikalta hai
meri tanhaai sanat-kaar hai
vo meri shiryaano'n se lahu chaan kar neze banaati hai

ये होता है
कोई माने न माने
ये तो होता है
किसी फैले हुए लम्हे किसी सिमटे हुए दिन
या अकेली रात में होता है
सब के साथ होता है
बदन के ख़ून का लोहा ख़यालों के अलाव में उबल कर
सुर्ख़ नेज़े की अनी को सर की जानिब फेंकता है
और फिर शहतीर गिर जाता है
जिस पर ख़ुद फ़रेबी पतली ईंटों की चिनाई करती रहती थी
ये मेरा माल फ़ित्ना है
मिरे माँ बाप साया हैं
मिरी औलाद फ़ित्ना है
बहुत तन्हा है इंसाँ
कीमिया-गर के प्याले से गिरे क़तरे के पारे की तरह तन्हा
सफ़र करते हुए तारों के झुरमुट में खड़े
क़ुत्बी सितारे की तरह तन्हा

ये सब
हँसते हुए लब रोती आँखें
हंजरे के जोफ़ से लहरा के निकली सारी आवाज़ें
ये गाते नाचते लोगों के झुरमुट
इश्वा ओ नाज़ ओ अदा से खींचते पैकर
ये सारी सैर-बीनी ख़ुद-फ़रेबी है
ये सारी यार-बाशी और सब सहरा-नशीनी ख़ुद-फ़रेबी है
मैं अपनी माँ के पहले दूध से दर्द-ए-तह हर जाम तक
तन्हाई के इक ख़त पे चलता जा रहा हूँ
मैं अकेला हूँ
मैं बज़्म दोस्ताँ के क़हक़हों के गूँज में डूबे
सराबी दश्त की लर्ज़िश में पानी ढूँडता हूँ
मैं अकेला हूँ

मिरी तन्हाई
माँ जाई
जो मेरे साथ पैदा हो के मेले में कहीं गुम हो गई थी
मेरी बू की ढूँडती
मेरे लहू को सूँघती वापस चली आई है
मेरे सामने बैठी है
मुझ को देखती है
उस का हर तार-ए-नज़र आँखों से दाख़िल हो के
मेरी खोपड़ी की पुश्त से बाहर निकलता है
मिरी तन्हाई सनअत-कार है
वो मेरी शिरयानों से लहू छान कर नेज़े बनाती है

  - Waheed Ahmad

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Ahmad

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari