a'zaa ka tanaasub
ragon mein daudte zinda jawaan sarshaar khun ki gungunaahat
hamein dete hain daawat ishq ki
lekin
hamaari chashm-e-aahan-posh pairaahan-shanaasa hai
libaason ki mohabbat
waz-e-pairaahan ko sab kuchh maan kar
naa-beena aankhen ishq karti hain
hamaari zindagi tahzeeb-e-pairaahan hai
zaahir ki parastish hai
hamaare saare aadaab-e-nazaara farz kar lete hain
insaan be-badan hai
badan dar-asl insaan hai tamaddun hai mohabbat hai
badan hi rooh hai noor-e-haraarat zindagi hai
badan hi ka karishma zehan ki takhleeq taskheer-e-fulaan hai
hamaari chashm-e-aahan-posh pairaahan shanaasa hai
badan ki taab la sakti nahin
tahzeeb-e-pairaahan na zinda hai na zehn-o-rooh rakhti hai
hamaare boodhe kohna aur farsooda libaason se ibaarat hain
hamaare naujavaan maghrib ke taaza fashionon ke chalte firte ishtehaari hain
badan maadum hai
aur be-badan roohen dhuaan hain
be-badan azhaan aaseb-e-nazaara hain
आ'ज़ा का तनासुब
रगों में दौड़ते ज़िंदा जवाँ सरशार ख़ूँ की गुनगुनाहट
हमें देते हैं दावत इश्क़ की
लेकिन
हमारी चश्म-ए-आहन-पोश पैराहन-शनासा है
लिबासों की मोहब्बत
वज़्-ए-पैराहन को सब कुछ मान कर
ना-बीना आँखें इश्क़ करती हैं
हमारी ज़िंदगी तहज़ीब-ए-पैराहन है
ज़ाहिर की परस्तिश है
हमारे सारे आदाब-ए-नज़ारा फ़र्ज़ कर लेते हैं
इंसाँ बे-बदन है
बदन दर-अस्ल इंसाँ है तमद्दुन है मोहब्बत है
बदन ही रूह है नूर-ए-हरारत ज़िंदगी है
बदन ही का करिश्मा ज़ेहन की तख़्लीक़ तस्ख़ीर-ए-फुलाँ है
हमारी चश्म-ए-आहन-पोश पैराहन शनासा है
बदन की ताब ला सकती नहीं
तहज़ीब-ए-पैराहन न ज़िंदा है न ज़ेहन-ओ-रूह रखती है
हमारे बूढ़े कोहना और फ़र्सूदा लिबासों से इबारत हैं
हमारे नौजवाँ मग़रिब के ताज़ा फैशनों के चलते फिरते इश्तिहारी हैं
बदन मादूम है
और बे-बदन रूहें धुआँ हैं
बे-बदन अज़हान आसेब-ए-नज़ारा हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waheed Akhtar
our suggestion based on Waheed Akhtar
As you were reading Shaheed Shayari Shayari