aaiye jalwa-e-deedaar ke dikhlane ko | आइए जल्वा-ए-दीदार के दिखलाने को

  - Waheed Allahabadi

aaiye jalwa-e-deedaar ke dikhlane ko
phoonk de barq-e-tajalli mere kaashaane ko

dekhiye kaun si ja yaar ka milta hai pata
koi ka'be ko chala hai koi but-khaane ko

teri furqat mein tasavvur hai ye bedardi ka
khwaab ham jaante hain neend ke aa jaane ko

ba'ad mere jo hua dasht mein majnoon ka guzar
ro diya dekh ke khaali mere veeraane ko

kaam aa jaati hai ham-bazmi bhi raushan dil ki
sham'a ham-rang bana leti hai parwaane ko

aaj phir shehar ke kooche nazar aate hain udaas
kis taraf le gai vehshat tire deewane ko

ai junoon tang hui wusa'at-e-sehra tujh se
ab kahaan jaaye tabi'at koi bahaalne ko

gul pe bulbul tha kahi sham'a pe parwaana tha
ham ne har rang mein dekha tire parwaane ko

wa-shud-e-dil na hui guncha-e-khaatir na khila
kaun se baagh mein aaye the hawa khaane ko

main ne jab vaadi-e-ghurbat mein qadam rakha tha
door tak yaad-e-watan aayi thi samjhaane ko

आइए जल्वा-ए-दीदार के दिखलाने को
फूँक दे बर्क़-ए-तजल्ली मिरे काशाने को

देखिए कौन सी जा यार का मिलता है पता
कोई का'बे को चला है कोई बुत-ख़ाने को

तेरी फ़ुर्क़त में तसव्वुर है ये बेदर्दी का
ख़्वाब हम जानते हैं नींद के आ जाने को

बा'द मेरे जो हुआ दश्त में मजनूँ का गुज़र
रो दिया देख के ख़ाली मिरे वीराने को

काम आ जाती है हम-बज़्मी भी रौशन दिल की
शम्अ' हम-रंग बना लेती है परवाने को

आज फिर शहर के कूचे नज़र आते हैं उदास
किस तरफ़ ले गई वहशत तिरे दीवाने को

ऐ जुनूँ तंग हुई वुसअ'त-ए-सहरा तुझ से
अब कहाँ जाए तबीअ'त कोई बहलाने को

गुल पे बुलबुल था कहीं शम्अ' पे परवाना था
हम ने हर रंग में देखा तिरे परवाने को

वा-शुद-ए-दिल न हुई ग़ुंचा-ए-ख़ातिर न खिला
कौन से बाग़ में आए थे हवा खाने को

मैं ने जब वादी-ए-ग़ुर्बत में क़दम रक्खा था
दूर तक याद-ए-वतन आई थी समझाने को

  - Waheed Allahabadi

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waheed Allahabadi

As you were reading Shayari by Waheed Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari