tujh mein to ek khoo-e-jafaa aur ho gai
main aur ho gaya na wafa aur ho gai
gul ka kahi nishaan hai na bulbul ka zikr hai
do roz mein chaman ki hawa aur ho gai
aamad ki sun ke khuli thi beemaar-e-gham ne aankh
tum aa gaye umīde-e-shifaa aur ho gai
bint-e-inab to rindon ko yoonhi mubaah thi
zaahid nazar pada to rawa aur ho gai
shakl-e-qubool ho ke firee aasmaan se
taaseer ho gai to dua aur ho gai
yaad aa gai jo ka'be mein aabroo ki ai waheed
apni namaaz-e-ishq ada aur ho gai
तुझ में तो एक ख़ू-ए-जफ़ा और हो गई
मैं और हो गया न वफ़ा और हो गई
गुल का कहीं निशाँ है न बुलबुल का ज़िक्र है
दो रोज़ में चमन की हवा और हो गई
आमद की सुन के खोली थी बीमार-ए-ग़म ने आँख
तुम आ गए उमीदे-ए-शिफ़ा और हो गई
बिन्त-ए-इनब तो रिंदों को यूँही मुबाह थी
ज़ाहिद नज़र पड़ा तो रवा और हो गई
शक्ल-ए-कु़बूल हो के फिरी आसमान से
तासीर हो गई तो दुआ और हो गई
याद आ गई जो का'बे में आबरू की ऐ 'वहीद'
अपनी नमाज़-ए-इश्क़ अदा और हो गई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waheed Allahabadi
our suggestion based on Waheed Allahabadi
As you were reading Wafa Shayari Shayari