nakhwat-e-husn pasand aayi hai deewane ko
sar-kashi sham'a ki manzoor hai parwaane ko
dekhiye kaun si ja yaar ka milta hai pata
koi ka'be ko chala hai koi but-khaane ko
teri furqat mein tasavvur hai ye bedardi ka
khwaab ham jaante hain neend ke aa jaane ko
kaam aa jaati hai ham-bazmi bhi raushan dil ki
sham'a ham-rang bana leti hai parwaane ko
gul pe bulbul tha kahi sham'a pe parwaana tha
ham ne har rang mein dekha tire deewane ko
wa-shud-e-dil na hui guncha-e-khaatir na khila
kaun se baagh mein aaye the hawa khaane ko
main ne jab vaadi-e-ghurbat mein qadam rakha tha
door tak yaad-e-watan aayi thi samjhaane ko
नख़वत-ए-हुस्न पसंद आई है दीवाने को
सर-कशी शम्अ' की मंज़ूर है परवाने को
देखिए कौन सी जा यार का मिलता है पता
कोई का'बे को चला है कोई बुत-ख़ाने को
तेरी फ़ुर्क़त में तसव्वुर है ये बेदर्दी का
ख़्वाब हम जानते हैं नींद के आ जाने को
काम आ जाती है हम-बज़्मी भी रौशन दिल की
शम्अ' हम-रंग बना लेती है परवाने को
गुल पे बुलबुल था कहीं शम्अ' पे परवाना था
हम ने हर रंग में देखा तिरे दीवाने को
वा-शुद-ए-दिल न हुई ग़ुंचा-ए-ख़ातिर न खिला
कौन से बाग़ में आए थे हवा खाने को
मैं ने जब वादी-ए-ग़ुर्बत में क़दम रक्खा था
दूर तक याद-ए-वतन आई थी समझाने को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waheed Allahabadi
our suggestion based on Waheed Allahabadi
As you were reading Dosti Shayari Shayari