khet pyaase hain | खेत प्यासे हैं

  - Wali Alam Shaheen

khet pyaase hain
fazaa haanfati hai
jaa-b-jaa ukhadi jaden chaatati ik gaaye
ke sukhe hue matiyaale khuron ki maanind
phat gai hai jo zameen
us mein ugi jhaadiyaan
be-berg-o-samar rahti hain
mausam ho koi

kisi faalij-zada beemaar ke akde hue panje ki tarah
tahniyaan soye falak dekhti fariyaad-kunaan hain kab se
mahaj fariyaad se ai dost magar kya hoga
jodta rehta hai mausam ki viraasat se dilon ko
jo kisi mez-numa shay ye kai din se pada
chaaye-khaane ka fata sa akhbaar
ik nazar aao ise dekh to len

haal aisa hai ki ab jo bhi ho achha hoga

खेत प्यासे हैं
फ़ज़ा हाँफती है
जा-ब-जा उखड़ी जड़ें चाटती इक गाए
के सूखे हुए मटियाले खुरों की मानिंद
फट गई है जो ज़मीं
उस में उगी झाड़ियाँ
बे-बर्ग-ओ-समर रहती हैं
मौसम हो कोई

किसी फ़ालिज-ज़दा बीमार के अकड़े हुए पंजे की तरह
टहनियाँ सोए फ़लक देखती फ़रियाद-कुनाँ हैं कब से
महज़ फ़रियाद से ऐ दोस्त मगर क्या होगा
जोड़ता रहता है मौसम की विरासत से दिलों को
जो किसी मेज़-नुमा शय ये कई दिन से पड़ा
चाए-ख़ाने का फटा सा अख़बार
इक नज़र आओ इसे देख तो लें

हाल ऐसा है कि अब जो भी हो अच्छा होगा

  - Wali Alam Shaheen

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wali Alam Shaheen

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari