moond kar aankhen | मूँद कर आँखें

  - Wali Alam Shaheen

moond kar aankhen
bade hi dhyaan se
main ne peeche ki taraf
hauz ke paani mein sikke fenkte hi
ik zara si chhed ki
apne dil-e-khush-fahm se
ai baawle
ab to ho jaayegi poori
khair se teri muraad

sah-pahar ki dhoop mein
hauz ke jharne mein sikke
saath rangon mein chamakte
yun dikhaai de rahe the
jaise ham awaaz ho kar
sab udaate hon mere dil ka mazaak
jaise aapas mein hi
kar rakha ho barpa
meri nam-khurda
hatheli ke sitaaron ne fasaad

मूँद कर आँखें
बड़े ही ध्यान से
मैं ने पीछे की तरफ़
हौज़ के पानी में सिक्के फेंकते ही
इक ज़रा सी छेड़ की
अपने दिल-ए-ख़ुश-फ़हम से
ऐ बावले
अब तो हो जाएगी पूरी
ख़ैर से तेरी मुराद

सह-पहर की धूप में
हौज़ के झरने में सिक्के
सात रंगों में चमकते
यूँ दिखाई दे रहे थे
जैसे हम आवाज़ हो कर
सब उड़ाते हों मिरे दिल का मज़ाक़
जैसे आपस में ही
कर रक्खा हो बरपा
मेरी नम-ख़ुर्दा
हथेली के सितारों ने फ़साद

  - Wali Alam Shaheen

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wali Alam Shaheen

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari