zabaan tak jo na aaye vo mohabbat aur hoti hai | ज़बाँ तक जो न आए वो मोहब्बत और होती है

  - Wamiq Jaunpuri

zabaan tak jo na aaye vo mohabbat aur hoti hai
fasana aur hota hai haqeeqat aur hoti hai

nahin milte to ik adnaa shikaayat hai na milne ki
magar mil kar na milne ki shikaayat aur hoti hai

ye maana sheesha-e-dil raunaq-e-bazaar-e-ulfat hai
magar jab toot jaata hai to qeemat aur hoti hai

nigaahen taar leti hain mohabbat ki adaaon ko
chhupaane se zamaane bhar ki shohrat aur hoti hai

ye maana husn ki fitrat bahut naazuk hai ai waamik
mizaaj-e-ishq ki lekin nazaakat aur hoti hai

ज़बाँ तक जो न आए वो मोहब्बत और होती है
फ़साना और होता है हक़ीक़त और होती है

नहीं मिलते तो इक अदना शिकायत है न मिलने की
मगर मिल कर न मिलने की शिकायत और होती है

ये माना शीशा-ए-दिल रौनक़-ए-बाज़ार-ए-उल्फ़त है
मगर जब टूट जाता है तो क़ीमत और होती है

निगाहें ताड़ लेती हैं मोहब्बत की अदाओं को
छुपाने से ज़माने भर की शोहरत और होती है

ये माना हुस्न की फ़ितरत बहुत नाज़ुक है ऐ 'वामिक़'
मिज़ाज-ए-इश्क़ की लेकिन नज़ाकत और होती है

  - Wamiq Jaunpuri

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wamiq Jaunpuri

As you were reading Shayari by Wamiq Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Wamiq Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari