safede ke sumbul ke | सफेदे के सुम्बुल के

  - Wazir Agha

safede ke sumbul ke
aur poplar ke chhareere shajar
meri joh mein aaye the jab
meri sabz dharti ka ik bhi parinda
unhen dekhne in ki shaakhon mein
aaraam karne ko taiyyaar hargiz nahin tha
kabhi koi phoole paron waali
ik phool si faakhta
in ki shaakhon ki jaanib umandti
to boo se pareshaan ho kar
falak ki taraf teer ban kar
kuchh is taur jaati
ki jaise vo waapas zameen par nahin aayegi

aur ab haal ye hai
phula hi ke keekar ke beri ke sab ped
in aane waalon se ghabra ke
jaane kahaan chal diye hain
ghane sabz sheesham ke chhitnaar murjha gaye hain
agar koi bargad ya peepal ka
ik aadh haikal
kisi kone khudre mein
aankhon ko neeche
paron ko samete khada hai
to kya hai
use kab kisi aane waale
chale jaane waale se koi ta'alluq raha hai

jo yun hai to aao chalen
aane waalon se chal kar milen
in se poochen
kahaan se tum aaye ho bhaai
iraada hai kab tak yahan thehrne ka

सफेदे के सुम्बुल के
और पॉपुलर के छरीरे शजर
मिरी जोह में आए थे जब
मिरी सब्ज़ धरती का इक भी परिंदा
उन्हें देखने इन की शाख़ों में
आराम करने को तय्यार हरगिज़ नहीं था
कभी कोई फूले परों वाली
इक फूल सी फ़ाख़्ता
इन की शाख़ों की जानिब उमंडती
तो बू से परेशान हो कर
फ़लक की तरफ़ तीर बन कर
कुछ इस तौर जाती
कि जैसे वो वापस ज़मीं पर नहीं आएगी

और अब हाल ये है
फुला ही के कीकर के बेरी के सब पेड़
इन आने वालों से घबरा के
जाने कहाँ चल दिए हैं
घने सब्ज़ शीशम के छितनार मुरझा गए हैं
अगर कोई बरगद या पीपल का
इक आध हैकल
किसी कोने खुदरे में
आँखों को मीचे
परों को समेटे खड़ा है
तो क्या है
उसे कब किसी आने वाले
चले जाने वाले से कोई तअ'ल्लुक़ रहा है

जो यूँ है तो आओ चलें
आने वालों से चल कर मिलें
इन से पूछें
कहाँ से तुम आए हो भाई
इरादा है कब तक यहाँ ठहरने का

  - Wazir Agha

Parinda Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wazir Agha

Similar Moods

As you were reading Parinda Shayari Shayari