silsila chhid gaya jab yaas ke afsaane ka
sham'a gul ho gai dil bujh gaya parwaane ka
ishq se dil ko mila aaina-khaane ka sharf
jagmaga utha kanwal apne siyah-khaane ka
khilwat-e-naaz kuja aur kuja ahl-e-hawas
zor kya chal sake faanoos se parwaane ka
laash kam-bakht ki ka'be mein koi fikwa de
koocha-e-yaar mein kyun dher ho parwaane ka
waaye hasrat ki ta'alluq na hua dil ko kahi
na to ka'be ka hua main na sanam-khaane ka
tishna-lab saath chale shauq mein saaye ki tarah
rukh kiya abr-e-bahaari ne jo may-khaane ka
waah kis naaz se aata hai tira daur-e-shabaab
jis tarah daur chale bazm mein paimaane ka
ahl-e-dil mast hue phail gai boo-e-wafa
pairhan chaak hua jab tire deewane ka
sar-e-shooreeda kuja ishq ki begaar kuja
magar allah re dil aap ke deewane ka
dekh kar aaine mein chaak-e-garebaan ki bahaar
aur bigda hai mizaaj aap ke deewane ka
kya ajab hai jo haseenon ki nazar lag jaaye
khoon halka hai bahut aap ke deewane ka
aap ab sham-e-sehr badh ke gale milti hai
bakht jaaga hai badi der mein parwaane ka
dil-e-be-hausla takta hai khareedaar ki raah
koi gaahak nahin toote hue paimaane ka
bazm mein subh hui chha gaya ik sannaata
silsila chhid gaya jab aap ke afsaane ka
सिलसिला छिड़ गया जब 'यास' के अफ़्साने का
शम्अ' गुल हो गई दिल बुझ गया परवाने का
इश्क़ से दिल को मिला आइना-ख़ाने का शरफ़
जगमगा उट्ठा कँवल अपने सियह-ख़ाने का
ख़ल्वत-ए-नाज़ कुजा और कुजा अहल-ए-हवस
ज़ोर क्या चल सके फ़ानूस से परवाने का
लाश कम-बख़्त की का'बे में कोई फिकवा दे
कूचा-ए-यार में क्यूँ ढेर हो परवाने का
वाए हसरत कि तअ'ल्लुक़ न हुआ दिल को कहीं
न तो का'बे का हुआ मैं न सनम-ख़ाने का
तिश्ना-लब साथ चले शौक़ में साए की तरह
रुख़ किया अब्र-ए-बहारी ने जो मय-ख़ाने का
वाह किस नाज़ से आता है तिरा दौर-ए-शबाब
जिस तरह दौर चले बज़्म में पैमाने का
अहल-ए-दिल मस्त हुए फैल गई बू-ए-वफ़ा
पैरहन चाक हुआ जब तिरे दीवाने का
सर-ए-शोरीदा कुजा इश्क़ की बेगार कुजा
मगर अल्लाह रे दिल आप के दीवाने का
देख कर आइने में चाक-ए-गरेबाँ की बहार
और बिगड़ा है मिज़ाज आप के दीवाने का
क्या अजब है जो हसीनों की नज़र लग जाए
ख़ून हल्का है बहुत आप के दीवाने का
आप अब शम-ए-सहर बढ़ के गले मिलती है
बख़्त जागा है बड़ी देर में परवाने का
दिल-ए-बे-हौसला तकता है ख़रीदार की राह
कोई गाहक नहीं टूटे हुए पैमाने का
बज़्म में सुब्ह हुई छा गया इक सन्नाटा
सिलसिला छिड़ गया जब आप के अफ़्साने का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Dil Shayari Shayari