qayamat hai shab-e-wada ka itna mukhtasar hona
falak ka shaam se dast-o-garebaan-e-sehr hona
shab-e-taareek ne pahluu dabaya roz-e-raushan ka
zahe qismat mere baaleen pe tera jalvaagar hona
hawaa-e-tund se kab tak larega shola-e-sarkash
abas hai khud-numaai ki havas mein jalvaagar hona
diyaar-e-be-khudi hai apne haq mein gosha-e-raahat
ghaneemat hai ghadi bhar khwaab-e-ghaflat mein basar hona
wahi saaqi wahi saaghar wahi sheesha wahi baada
magar laazim nahin har ek par yaksaan asar hona
suna karte the aaj aankhon se dekhen dekhne waale
nigaah-e-'yaas ka sangeen-dilon par kaargar hona
क़यामत है शब-ए-वादा का इतना मुख़्तसर होना
फ़लक का शाम से दस्त-ओ-गरेबान-ए-सहर होना
शब-ए-तारीक ने पहलू दबाया रोज़-ए-रौशन का
ज़हे क़िस्मत मिरे बालीं पे तेरा जल्वागर होना
हवा-ए-तुंद से कब तक लड़ेगा शोला-ए-सरकश
अबस है ख़ुद-नुमाई की हवस में जल्वागर होना
दियार-ए-बे-ख़ुदी है अपने हक़ में गोशा-ए-राहत
ग़नीमत है घड़ी भर ख़्वाब-ए-ग़फ़लत में बसर होना
वही साक़ी वही साग़र वही शीशा वही बादा
मगर लाज़िम नहीं हर एक पर यकसाँ असर होना
सुना करते थे आज आँखों से देखें देखने वाले
निगाह-ए-'यास' का संगीं-दिलों पर कारगर होना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Qismat Shayari Shayari