yaksaan kabhi kisi ki na guzri zamaane mein | यकसाँ कभी किसी की न गुज़री ज़माने में

  - Yagana Changezi

yaksaan kabhi kisi ki na guzri zamaane mein
yaad-shab-khair baithe the kal aashiyaane mein

sadme diye to sabr ki daulat bhi dega vo
kis cheez ki kami hai sakhi ke khazaane mein

gurbat ki maut bhi sabab-e-zikr-e-khair hai
gar ham nahin to naam rahega zamaane mein

dam bhar mein ab mareez ka qissa tamaam hai
kyunkar kahoon ye raat kategi fasaane mein

saaqi main dekhta hoon zameen aasmaan ka farq
arsh-e-bareen mein aur tire aastaane mein

deewarein faand-faand ke deewane chal base
khaak ud rahi hai chaar taraf qaid-khaane mein

sayyaad is aseeri pe sau jaan se main fida
dil-bastagi qafas ki kahaan aashiyaane mein

ham aise bad-naseeb ki ab tak na mar gaye
aankhon ke aage aag lagi aashiyaane mein

deewane ban ke un ke gale se lipt bhi jaao
kaam apna kar lo yaas bahaane-bahaane mein

यकसाँ कभी किसी की न गुज़री ज़माने में
यादश-ब-ख़ैर बैठे थे कल आशियाने में

सदमे दिए तो सब्र की दौलत भी देगा वो
किस चीज़ की कमी है सख़ी के ख़ज़ाने में

ग़ुर्बत की मौत भी सबब-ए-ज़िक्र-ए-ख़ैर है
गर हम नहीं तो नाम रहेगा ज़माने में

दम भर में अब मरीज़ का क़िस्सा तमाम है
क्यूँकर कहूँ ये रात कटेगी फ़साने में

साक़ी मैं देखता हूँ ज़मीं आसमाँ का फ़र्क़
अर्श-ए-बरीं में और तिरे आस्ताने में

दीवारें फाँद-फाँद के दीवाने चल बसे
ख़ाक उड़ रही है चार तरफ़ क़ैद-ख़ाने में

सय्याद इस असीरी पे सौ जाँ से मैं फ़िदा
दिल-बस्तगी क़फ़स की कहाँ आशियाने में

हम ऐसे बद-नसीब कि अब तक न मर गए
आँखों के आगे आग लगी आशियाने में

दीवाने बन के उन के गले से लिपट भी जाओ
काम अपना कर लो 'यास' बहाने-बहाने में

  - Yagana Changezi

Bimar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yagana Changezi

As you were reading Shayari by Yagana Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Yagana Changezi

Similar Moods

As you were reading Bimar Shayari Shayari