phir lab pe tera zikr hai phir tera naam hai | फिर लब पे तेरा ज़िक्र है फिर तेरा नाम है

  - Yahya Amjad

phir lab pe tera zikr hai phir tera naam hai
phir jaan lutaane waalon ka ik izidahaam hai

sibt-e-rasool hona hi izzat ki baat hai
par us se badh ke tere amal ka maqaam hai

rasm-e-yazeed zulm hai har baar aarzi
deen-e-husain jidd-o-jahd hai mudaam hai

hai harb-e-ishq fath ki khwaahish se be-niyaaz
ye baat alag ki haar ke bhi fath naam hai

kya gham agar yazid raha iqtidaar mein
parcham to phir husain ka meer-e-awaam hai

parcham bana hai phir kai shehron mein tera naam
tu kaarvaan-e-jidd-o-jahd ka imaam hai

फिर लब पे तेरा ज़िक्र है फिर तेरा नाम है
फिर जाँ लुटाने वालों का इक इज़िदहाम है

सिब्त-ए-रसूल होना ही इज़्ज़त की बात है
पर उस से बढ़ के तेरे अमल का मक़ाम है

रस्म-ए-यज़ीद ज़ुल्म है हर बार आरज़ी
दीन-ए-हुसैन जिद्द-ओ-जहद है मुदाम है

है हर्ब-ए-इश्क़ फ़त्ह की ख़्वाहिश से बे-नियाज़
ये बात अलग कि हार के भी फ़त्ह नाम है

क्या ग़म अगर यज़ीद रहा इक़्तिदार में
परचम तो फिर हुसैन का मीर-ए-अवाम है

परचम बना है फिर कई शहरों में तेरा नाम
तू कारवान-ए-जिद्द-ओ-जहद का इमाम है

  - Yahya Amjad

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Yahya Amjad

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari