is tarah murjha gaye kuchh phool-chehre raat ko | इस तरह मुरझा गए कुछ फूल-चेहरे रात को

  - Yaqoob Parwaz

is tarah murjha gaye kuchh phool-chehre raat ko
dhoop aangan mein utar aayi ho jaise raat ko

umr bhar suraj bhi jin ki deed se qasir rahe
un hayaa-daaroñ ke uthte hain janaaze raat ko

zeest ka sarmaaya hai yaadein unhi lamhaat ki
maon se jab loriyaan sunte the bacche raat ko

ban gaye hain rahzano ke vaaste jaa-e-amaan
aur musaafir ke liye hain maut raaste raat ko

is tarah ab to guzarti hai meri umr-e-ravaan
khaansate hain jis tarah parvaaz boodhe raat ko

इस तरह मुरझा गए कुछ फूल-चेहरे रात को
धूप आँगन में उतर आई हो जैसे रात को

उम्र भर सूरज भी जिन की दीद से क़ासिर रहे
उन हया-दारों के उठते हैं जनाज़े रात को

ज़ीस्त का सरमाया है यादें उन्ही लम्हात की
माओं से जब लोरियाँ सुनते थे बच्चे रात को

बन गए हैं रहज़नों के वास्ते जा-ए-अमाँ
और मुसाफ़िर के लिए हैं मौत रस्ते रात को

इस तरह अब तो गुज़रती है मिरी उम्र-ए-रवाँ
खाँसते हैं जिस तरह परवाज़ बूढे रात को

  - Yaqoob Parwaz

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Parwaz

As you were reading Shayari by Yaqoob Parwaz

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Parwaz

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari