ye nazzara na dekha tha faraaz-e-baam se pehle
nikalta hai koi suraj ghuboob-e-shaam se pehle
usi ke naam kar dale hain main ne ratjage apne
kisi ka naam leta hai jo mere naam se pehle
tumhaare aatishi lehje se ham khaif nahin lekin
hamaari baat to sun lo zara aaraam se pehle
sukoot-e-shehr-e-khaamoshaan bhi jis par rashk farmaaye
kuchh aisi kaifiyat hoti hai har kohraam se pehle
raheen-e-aab-o-daana hi sahi aawaargi apni
gharo ko laut aate hain parinde shaam se pehle
b-har-soorat unhen ranj-e-aseeri to uthaana hai
nazar daane pe hai parvaaz jin ki daam se pehle
ये नज़्ज़ारा न देखा था फ़राज़-ए-बाम से पहले
निकलता है कोई सूरज ग़ुरूब-ए-शाम से पहले
उसी के नाम कर डाले हैं मैं ने रतजगे अपने
किसी का नाम लेता है जो मेरे नाम से पहले
तुम्हारे आतिशीं लहजे से हम ख़ाइफ़ नहीं लेकिन
हमारी बात तो सुन लो ज़रा आराम से पहले
सुकूत-ए-शहर-ए-ख़ामोशाँ भी जिस पर रश्क फ़रमाए
कुछ ऐसी कैफ़ियत होती है हर कोहराम से पहले
रहीन-ए-आब-ओ-दाना ही सही आवारगी अपनी
घरों को लौट आते हैं परिंदे शाम से पहले
ब-हर-सूरत उन्हें रंज-ए-असीरी तो उठाना है
नज़र दाने पे है परवाज़ जिन की दाम से पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yaqoob Parwaz
our suggestion based on Yaqoob Parwaz
As you were reading Peace Shayari Shayari