main tira hi aaina hoon aur bas
tujh ko dekha chahta hoon aur bas
kyun samjhte ho mujhe manzil-numaa
tedha-medha raasta hoon aur bas
hai abhi mahdood meri aagahi
main to itna jaanta hoon aur bas
koi to khole meri pecheedagi
main kisi ka zaaicha hoon aur bas
ab kisi tarmeem ka mat sochna
main mukammal faisla hoon aur bas
dhoondhna mujh ko koi mushkil nahin
bheed mein khoya hua hoon aur bas
kis jagah aur kab barsna hai mujhe
main to ik umdi ghatta hoon aur bas
laakh hoon parvaaz pur-asraar main
khud hi apna tarjuma hoon aur bas
मैं तिरा ही आइना हूँ और बस
तुझ को देखा चाहता हूँ और बस
क्यूँ समझते हो मुझे मंज़िल-नुमा
टेढ़ा-मेढ़ा रास्ता हूँ और बस
है अभी महदूद मेरी आगही
मैं तो इतना जानता हूँ और बस
कोई तो खोले मिरी पेचीदगी
मैं किसी का ज़ाइचा हूँ और बस
अब किसी तरमीम का मत सोचना
मैं मुकम्मल फ़ैसला हूँ और बस
ढूँढना मुझ को कोई मुश्किल नहीं
भीड़ में खोया हुआ हूँ और बस
किस जगह और कब बरसना है मुझे
मैं तो इक उमडी घटा हूँ और बस
लाख हूँ परवाज़ पुर-असरार मैं
ख़ुद ही अपना तर्जुमा हूँ और बस
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yaqoob Parwaz
our suggestion based on Yaqoob Parwaz
As you were reading Manzil Shayari Shayari