kyun teergi pe tum ko gumaan chaandni ka hai | क्यों तीरगी पे तुम को गुमाँ चाँदनी का है

  - Yaqoob Parwaz

kyun teergi pe tum ko gumaan chaandni ka hai
aakhir ye rang roop kahaan chaandni ka hai

zulmat ka ishtehaar bane phir rahe hain ham
socho agar to ye bhi ziyaan chaandni ka hai

ye raushni ka shehar hai kaisa ki ab yahan
dekha jise bhi nauha-kunaan chaandni ka hai

is shehar-e-be-charaagh se aao nikal chalen
vo is liye ki shor yahan chaandni ka hai

na-beengi ke rog mein hain mubtala wahi
parwaaz jin ka apna makaan chaandni ka hai

क्यों तीरगी पे तुम को गुमाँ चाँदनी का है
आख़िर ये रंग रूप कहाँ चाँदनी का है

ज़ुल्मत का इश्तिहार बने फिर रहे हैं हम
सोचो अगर तो ये भी ज़ियाँ चाँदनी का है

ये रौशनी का शहर है कैसा कि अब यहाँ
देखा जिसे भी नौहा-कुनाँ चाँदनी का है

इस शहर-ए-बे-चराग़ से आओ निकल चलें
वो इस लिए कि शोर यहाँ चाँदनी का है

ना-बीनगी के रोग में हैं मुब्तला वही
'पर्वाज़' जिन का अपना मकाँ चाँदनी का है

  - Yaqoob Parwaz

Bimar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Parwaz

As you were reading Shayari by Yaqoob Parwaz

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Parwaz

Similar Moods

As you were reading Bimar Shayari Shayari