samjhe hain misl-e-kaah mujhe maarte hain log
kitne hain kam-nigaah mujhe maarte hain log
itna bhi ehtijaaj gawara nahin unhen
bharta hoon jab bhi aah mujhe maarte hain log
maana ki tere adl ka danka hai chaar soo
lekin ai kaj-kulaah mujhe maarte hain log
tay hai ki phir gira diya jaaunga chaah mein
pehle baroon-e-chaah mujhe maarte hain log
yun bhi farogh dete hain apne darogh ko
la kar koi gawaah mujhe maarte hain log
समझे हैं मिस्ल-ए-काह मुझे मारते हैं लोग
कितने हैं कम-निगाह मुझे मारते हैं लोग
इतना भी एहतिजाज गवारा नहीं उन्हें
भरता हूँ जब भी आह मुझे मारते हैं लोग
माना कि तेरे अद्ल का डंका है चार सू
लेकिन ऐ कज-कुलाह मुझे मारते हैं लोग
तय है कि फिर गिरा दिया जाउँगा चाह में
पहले बरून-ए-चाह मुझे मारते हैं लोग
यूँ भी फ़रोग़ देते हैं अपने दरोग़ को
ला कर कोई गवाह मुझे मारते हैं लोग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yaqoob Parwaz
our suggestion based on Yaqoob Parwaz
As you were reading Afsos Shayari Shayari