vaise to be-shumaar hain qaamat-kasheeda log | वैसे तो बे-शुमार हैं क़ामत-कशीदा लोग

  - Yaqoob Parwaz

vaise to be-shumaar hain qaamat-kasheeda log
ginti hui to rah gaye bas cheeda cheeda log

dastaar ke husool ka koi to ho javaaz
kis zo'm mein hain mubtala ye sar-bureeda log

ai kaash apni maut hi marte to tha maza
jaan se guzar gaye hain jo mardum-gazeedaa log

koi to pushti-baan hai un ka yahin kahi
kab baithe hain chain se daaman-dareeda log

kheenchegi tool kab talak mohlat mili hui
fir'aun ban gaye hain tire aafreedaa log

parwaaz jin ki deed ko aankhen taras gaeein
laayein kahaan se dhundh ke aise chunidhaa log

वैसे तो बे-शुमार हैं क़ामत-कशीदा लोग
गिनती हुई तो रह गए बस चीदा चीदा लोग

दस्तार के हुसूल का कोई तो हो जवाज़
किस ज़ो'म में हैं मुब्तला ये सर-बुरीदा लोग

ऐ काश अपनी मौत ही मरते तो था मज़ा
जाँ से गुज़र गए हैं जो मर्दुम-गज़ीदा लोग

कोई तो पुश्ती-बान है उन का यहीं कहीं
कब बैठते हैं चैन से दामन-दरीदा लोग

खींचेगी तूल कब तलक मोहलत मिली हुई
फ़िरऔन बन गए हैं तिरे आफ़रीदा लोग

'पर्वाज़' जिन की दीद को आँखें तरस गईं
लाएँ कहाँ से ढूँड के ऐसे चुनीदा लोग

  - Yaqoob Parwaz

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Parwaz

As you were reading Shayari by Yaqoob Parwaz

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Parwaz

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari