raahzan hoon ki rehnuma hoon main | राहज़न हूँ कि रहनुमा हूँ मैं

  - Yaqoob Parwaz

raahzan hoon ki rehnuma hoon main
kaun jaane ki asl kya hoon main

vo jo ibarat ka ik nishaan thehre
baagh waalon ko jaanta hoon main

mujh se khalk-e-khuda larzatee hai
kis nauiyat ka paarsa hoon main

saadgi ko bhi jis pe rashk aaye
is takalluf ki intiha hoon main

kis ne dekha ye dekhna mera
dil ki aankhon se dekhta hoon main

bhediyae ki nigaah hai jin par
aisi bhedon ko haanktaa hoon main

राहज़न हूँ कि रहनुमा हूँ मैं
कौन जाने कि अस्ल क्या हूँ मैं

वो जो इबरत का इक निशाँ ठहरे
बाग़ वालों को जानता हूँ मैं

मुझ से ख़ल्क़-ए-ख़ुदा लरज़ती है
किस नौइयत का पारसा हूँ मैं

सादगी को भी जिस पे रश्क आए
इस तकल्लुफ़ की इंतिहा हूँ मैं

किस ने देखा ये देखना मेरा
दिल की आँखों से देखता हूँ मैं

भेड़िये की निगाह है जिन पर
ऐसी भेड़ों को हाँकता हूँ मैं

  - Yaqoob Parwaz

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yaqoob Parwaz

As you were reading Shayari by Yaqoob Parwaz

Similar Writers

our suggestion based on Yaqoob Parwaz

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari