dard ki lehar thi guzar bhi gai | दर्द की लहर थी गुज़र भी गई

  - Yashab Tamanna

dard ki lehar thi guzar bhi gai
us ke hamraah chashm-e-tar bhi gai

ik ta'alluq sa tha so khatm hua
baat thi zehan se utar bhi gai

ham abhi soch hi mein baithe hain
aur vo aankh kaam kar bhi gai

hijr se kam na thi visaal ki rut
aayi bechain si guzar bhi gai

zabt ka hausla bahut tha magar
us ne poocha to aankh bhar bhi gai

दर्द की लहर थी गुज़र भी गई
उस के हमराह चश्म-ए-तर भी गई

इक तअ'ल्लुक़ सा था सो ख़त्म हुआ
बात थी ज़ेहन से उतर भी गई

हम अभी सोच ही में बैठे हैं
और वो आँख काम कर भी गई

हिज्र से कम न थी विसाल की रुत
आई बेचैन सी गुज़र भी गई

ज़ब्त का हौसला बहुत था मगर
उस ने पूछा तो आँख भर भी गई

  - Yashab Tamanna

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yashab Tamanna

As you were reading Shayari by Yashab Tamanna

Similar Writers

our suggestion based on Yashab Tamanna

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari