jahaan baat wahdat ki gahri rahegi | जहाँ बात वहदत की गहरी रहेगी

  - Yasin Ali Khan Markaz

jahaan baat wahdat ki gahri rahegi
wahan fikr apni na teri rahegi

lajaajat ameeron se yak-dam utha de
qana'at se apni faqiri rahegi

na jeene ki khwaahish na marne ka gham hai
jo haalat hai apni vo thehri rahegi

mujallaa hua jab se dil hai hamaara
na marqad mein apne andheri rahegi

ghamand har tarah karna zeba nahin hai
jawaani kisi ki na peeri rahegi

khudaai ki qudrat khudi se hai markaz
muqallid hain jab tak aseeri rahegi

जहाँ बात वहदत की गहरी रहेगी
वहाँ फ़िक्र अपनी न तेरी रहेगी

लजाजत अमीरों से यक-दम उठा दे
क़नाअ'त से अपनी फ़क़ीरी रहेगी

न जीने की ख़्वाहिश न मरने का ग़म है
जो हालत है अपनी वो ठहरी रहेगी

मुजल्ला हुआ जब से दिल है हमारा
न मरक़द में अपने अँधेरी रहेगी

घमंड हर तरह करना ज़ेबा नहीं है
जवानी किसी की न पीरी रहेगी

ख़ुदाई की क़ुदरत ख़ुदी से है 'मरकज़'
मुक़ल्लिद हैं जब तक असीरी रहेगी

  - Yasin Ali Khan Markaz

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yasin Ali Khan Markaz

As you were reading Shayari by Yasin Ali Khan Markaz

Similar Writers

our suggestion based on Yasin Ali Khan Markaz

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari