misaal-e-aks mere aaine mein dhalt raha | मिसाल-ए-अक्स मिरे आइने में ढलता रहा

  - Yasmeen Hameed

misaal-e-aks mere aaine mein dhalt raha
vo khadd-o-khaal bhi apne magar badalta raha

main pattharon pe giri aur khud sambhal bhi gai
vo khaamoshi se mere saath saath chalta raha

ujaala hote hi kaise use bujhaaungi
agar charaagh mera taa-b-subh jalta raha

main us ke ma'ni o maqsad ke sang chuntee rahi
vo ek harf jo ehsaas ko kuchalta raha

zameen khuloos ki mitti se be-niyaaz rahi
refaaqaton ka shajar vaaheemon pe palta raha

मिसाल-ए-अक्स मिरे आइने में ढलता रहा
वो ख़द्द-ओ-ख़ाल भी अपने मगर बदलता रहा

मैं पत्थरों पे गिरी और ख़ुद सँभल भी गई
वो ख़ामुशी से मिरे साथ साथ चलता रहा

उजाला होते ही कैसे उसे बुझाऊँगी
अगर चराग़ मिरा ता-ब-सुब्ह जलता रहा

मैं उस के मअ'नी ओ मक़्सद के संग चुनती रही
वो एक हर्फ़ जो एहसास को कुचलता रहा

ज़मीं ख़ुलूस की मिट्टी से बे-नियाज़ रही
रिफ़ाक़तों का शजर वाहिमों पे पलता रहा

  - Yasmeen Hameed

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yasmeen Hameed

As you were reading Shayari by Yasmeen Hameed

Similar Writers

our suggestion based on Yasmeen Hameed

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari