kabhi aisa bhi karna
shaam ki dahleez par
pal-bhar ko rukna
doobte suraj ka manzar dekhna
aur sochna
ki shaam ki gahri udaasi ka sabab kya hai
musaafir jab thaka-haara
sar-e-manzil
kabhi tanhaa utarta hai
to kya mehsoos karta hai
कभी ऐसा भी करना
शाम की दहलीज़ पर
पल-भर को रुकना
डूबते सूरज का मंज़र देखना
और सोचना
कि शाम की गहरी उदासी का सबब क्या है
मुसाफ़िर जब थका-हारा
सर-ए-मंज़िल
कभी तन्हा उतरता है
तो क्या महसूस करता है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Yusuf Khalid
As you were reading Deedar Shayari Shayari