zinda-baash ai inqilaab ai shola-e-faanus-e-hind
garmiyaan jis ki farogh-e-mankul-e-jaan ho gaeein
bastiyon par chha rahi theen maut ki khaamoshiyaan
tu ne soor apna jo phoonka mahsharistan. ho gaeein
jitni boonden theen shaheedaan-e-watan ke khoon ki
qasr-aazaadi ki aaraish ka saamaan ho gaeein
marhaba ai nau-giraftaar-e-bedad-e-farang
jin ki zanjeeren kharosh-afza-e-zindaan ho gaeein
zindagi un ki hai deen un ka hai duniya un ki hai
jin ki jaanen qaum ki izzat pe qurbaan ho gaeein
ज़िंदा-बाश ऐ इंक़लाब ऐ शोला-ए-फ़ानूस-ए-हिन्द
गर्मियाँ जिस की फ़रोग़-ए-मंक़ल-ए-जाँ हो गईं
बस्तियों पर छा रही थीं मौत की ख़ामोशियाँ
तू ने सूर अपना जो फूँका महशरिस्ताँ हो गईं
जितनी बूँदें थीं शहीदान-ए-वतन के ख़ून की
क़स्र-आज़ादी की आराइश का सामाँ हो गईं
मर्हबा ऐ नौ-गिरफ़्तारान-ए-बेदाद-ए-फ़रंग
जिन की ज़ंजीरें ख़रोश-अफ़ज़ा-ए-ज़िंदाँ हो गईं
ज़िंदगी उन की है दीन उन का है दुनिया उन की है
जिन की जानें क़ौम की इज़्ज़त पे क़ुर्बां हो गईं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Zafar Ali Khan
As you were reading Haya Shayari Shayari