ai nukta-varaan-e-sukhan-aara-o-sukhan-sanj | ऐ नुक्ता-वरान-ए-सुख़न-आरा-ओ-सुख़न-संज

  - Zafar Ali Khan

ai nukta-varaan-e-sukhan-aara-o-sukhan-sanj
ai naghma-giraan-e-chamanistaan-e-maafi
maana ki dil-afroz hai afsaana-e-azra
maana ki dil-aawez hai salma ki kahaani
maana ki agar chhed haseenon se chali jaaye
kat jaayega is mashghale mein ahad-e-jawaani
garmaayega ye hamhama afsurda dilon ko
badh jaayegi dariya-e-tabeeat ki rawaani
maana ki hain aap apne zamaane ke nazeeri
maana ki har ik aap mein hai urfi-e-saani
maana ki hadees-e-khat-o-rukhsaar ke aage
bekar hai mashshaaiyon ki falsafa-daani
maana ki yahi zulf o khat-o-khaal ki roodaad
hai maaya-e-gul-kaari-e-aivaan-e-maafi
lekin kabhi is baat ko bhi aap ne socha
ye aap ki taqweem hai sadiyon ki puraani
maashooq naye bazm nayi rang naya hai
paida naye khaame hue hain aur naye maani
mizgaan ki sinaan ke evaz ab sunti hai mehfil
kaanton ki kathaa barhana-paai ki zabaani
lazzat vo kahaan laal-e-lab-e-yaar mein hai aaj
jo de rahi hai pet ke bhookhon ki kahaani
badla hai zamaana to badliye ravish apni
jo qaum hai bedaar ye hai us ki nishaani
ai hum-nafso yaad rahe khoob ye tum ko
basti nayi mashriq mein humeen ko hai basaani

ऐ नुक्ता-वरान-ए-सुख़न-आरा-ओ-सुख़न-संज
ऐ नग़्मा-गिरान-ए-चमनिस्तान-ए-मआफ़ी
माना कि दिल-अफ़रोज़ है अफ़्साना-ए-अज़रा
माना कि दिल-आवेज़ है सलमा की कहानी
माना कि अगर छेड़ हसीनों से चली जाए
कट जाएगा इस मश्ग़ले में अहद-ए-जवानी
गरमाएगा ये हमहमा अफ़्सुर्दा दिलों को
बढ़ जाएगी दरिया-ए-तबीअत की रवानी
माना कि हैं आप अपने ज़माने के 'नज़ीरी'
माना कि हर इक आप में है उर्फ़ी-ए-सानी
माना की हदीस-ए-ख़त-ओ-रुख़्सार के आगे
बेकार है मश्शाइयों की फ़ल्सफ़ा-दानी
माना कि यही ज़ुल्फ़ ओ ख़त-ओ-ख़ाल की रूदाद
है माया-ए-गुल-कारी-ए-ऐवान-ए-मआफ़ी
लेकिन कभी इस बात को भी आप ने सोचा
ये आप की तक़्वीम है सदियों की पुरानी
माशूक़ नए बज़्म नई रंग नया है
पैदा नए ख़ामे हुए हैं और नए 'मानी'
मिज़्गाँ की सिनाँ के एवज़ अब सुनती है महफ़िल
काँटों की कथा बरहना-पाई की ज़बानी
लज़्ज़त वो कहाँ लाल-ए-लब-ए-यार में है आज
जो दे रही है पेट के भूखों की कहानी
बदला है ज़माना तो बदलिए रविश अपनी
जो क़ौम है बेदार ये है उस की निशानी
ऐ हम-नफ़सो याद रहे ख़ूब ये तुम को
बस्ती नई मशरिक़ में हमीं को है बसानी

  - Zafar Ali Khan

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Ali Khan

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari