Chaand koi afsaana nahin | "चाँद कोई अफ़्साना नहीं"

  - Zafar Gorakhpuri

Chaand koi afsaana nahin

ab to ilm ki parvaaze
aur hi qisse kahti hain
baazi ab to mat bolo
chaand mein pariyaan rahti hain
chaand na apna maamoo'n hai
aur na des vo pariyon ka
chaand mein koi budhiya hai
aur na budhiya ka charkha
sadiyon sadiyon khoj ke ba'ad
ab ham ne ye jaana hai
chaand koi afsaana nahin
ek haqeeqi duniya hai
sardi garmi dono tez
oxygen ka naam nahin
chattaanen hain khaaiyaan hain
dharti sa aaraam nahin
ho jaayega par ik roz
jee lena aasaan wahan
apne jeene ka saamaan
kar lega insaan wahan
ilm-o-hunar ki dhaaraayein
peeche ko kab bahti hain
baazi ab to mat bolo
chaand mein pariyaan rahti hain

"चाँद कोई अफ़्साना नहीं"

अब तो इल्म की परवाज़ें
और ही क़िस्से कहती हैं
बाजी अब तो मत बोलो
चाँद में परियाँ रहती हैं
चाँद न अपना मामूँ है
और न देस वो परियों का
चाँद में कोई बुढ़िया है
और न बुढ़िया का चरख़ा
सदियों सदियों खोज के बा'द
अब हम ने ये जाना है
चाँद कोई अफ़्साना नहीं
एक हक़ीक़ी दुनिया है
सर्दी गर्मी दोनों तेज़
ऑक्सीजन का नाम नहीं
चट्टानें हैं खाइयाँ हैं
धरती सा आराम नहीं
हो जाएगा पर इक रोज़
जी लेना आसान वहाँ
अपने जीने का सामाँ
कर लेगा इंसान वहाँ
इल्म-ओ-हुनर की धाराएँ
पीछे को कब बहती हैं
बाजी अब तो मत बोलो
चाँद में परियाँ रहती हैं

  - Zafar Gorakhpuri

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zafar Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Zafar Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari