umr bhar ki meri kamaai ho | उम्र भर की मेरी कमाई हो

  - Zafar Siddqui

umr bhar ki meri kamaai ho
paas aa hijr rihaai ho

tu koi to dava bata aisi
zakham ki jo mere davaai ho

zindagi bhar hi zakham jhele hain
zakham se kaash ab judaai ho

shohraten kyun nahin milengi mujhe
har taraf meri bhi buraai ho

faailaatun mufailun felun
kaash is bahr mein rubaai ho

ek pal bhi bata mujhe aisa
jab zafar ne khushi manaa'i ho

उम्र भर की मेरी कमाई हो
पास आ हिज्र रिहाई हो

तू कोई तो दवा बता ऐसी
ज़ख़्म की जो मिरे दवाई हो

ज़िन्दगी भर ही ज़ख़्म झेले हैं
ज़ख़्म से काश अब जुदाई हो

शोहरतें क्यों नहीं मिलेंगी मुझे
हर तरफ़ मेरी भी बुराई हो

फ़ाइलातुन मुफ़ाइलुन फ़ेलुन
काश इस बह्र में रुबाई हो

एक पल भी बता मुझे ऐसा
जब 'ज़फ़र' ने ख़ुशी मनाई हो

  - Zafar Siddqui

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zafar Siddqui

As you were reading Shayari by Zafar Siddqui

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Siddqui

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari