kalaam-e-haidari ki nazr
maa kabhi marti nahin hai
khoon hai vo
jism ki rag rag mein har dam maujzan hai
raushni is ke labon ki
is ke beton
aur phir beton ke betiyon ke
shagufta-aariz-o-lab se hamesha foottee hai
raushni ka ye safar rukta nahin hai
bhaai mere
is qadar jal thal na ho to
qabr ki namnaak mitti se ubharti
ek bhar aayi hui awaaz san le
mere bete kya hua jo main nahin hoon
teri maa ye sarzameen hindostaan hai
teri maa pyaari zabaan urdu zabaan hai
in ki khidmat mein nihaan izzat hai teri
in ke qadmon ke tale jannat hai teri
कलाम-ए-हैदरी की नज़्र
माँ कभी मरती नहीं है
ख़ून है वो
जिस्म की रग रग में हर दम मौजज़न है
रौशनी इस के लबों की
इस के बेटों
और फिर बेटों के बेटियों के
शगुफ़्ता-आरिज़-ओ-लब से हमेशा फूटती है
रौशनी का ये सफ़र रुकता नहीं है
भाई मेरे
इस क़दर जल थल न हो तो
क़ब्र की नमनाक मिट्टी से उभरती
एक भर आई हुई आवाज़ सन ले
मेरे बेटे क्या हुआ जो मैं नहीं हूँ
तेरी माँ ये सरज़मीं हिन्दोस्ताँ है
तेरी माँ प्यारी ज़बाँ उर्दू ज़बाँ है
इन की ख़िदमत में निहाँ इज़्ज़त है तेरी
इन के क़दमों के तले जन्नत है तेरी
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Zaheer Siddiqui
As you were reading Haya Shayari Shayari