abhi faqat teen hi baje hain | अभी फ़क़त तीन ही बजे हैं

  - Zaheer Siddiqui

abhi faqat teen hi baje hain
abhi to us ki ragon ki kuchh aur roshnai
tanee hui mez par pade
faailon ke kaaghaz mein jazb hogi
zarooratein
us ke reg-zaar-e-hayaat ke
nanhe nanhe paudon ki aabiyaari
kisi ke naazuk udaas honton pe
muskuraahat ki laala-kaari
gudaaz baanhon ke narm halke mein
garm saanson ki shab-guzaari
zaruraton ka vo ik pujaari
jo apne saare lahu ke gunche
masafat aftaab ke
das se paanch tak ke
qabeeh lamhon ke devta ke qadam pe
qurbaan kar raha hai
vo devta
jis ne saal-ha-saal ki riyaazat
aur us ke ilm-o-salaahiyat ke gawaah
in degrees ke alfaaz ko
jo is se libaas-e-mafhoom chahte the
barhangi di
zarooratein
is ki nanhe paudon
udaas honton
gudaaz baanhon ki roz ki hain
zaruraton ka vo ik pujaari
lahu ke gunchon ka ye chadhaavaa to roz ka hai
abhi faqat teen hi baje hain

अभी फ़क़त तीन ही बजे हैं
अभी तो उस की रगों की कुछ और रौशनाई
तनी हुई मेज़ पर पड़े
फ़ाइलों के काग़ज़ में जज़्ब होगी
ज़रूरतें
उस के रेग-ज़ार-ए-हयात के
नन्हे नन्हे पौदों की आबियारी
किसी के नाज़ुक उदास होंटों पे
मुस्कुराहट की लाला-कारी
गुदाज़ बाँहों के नर्म हल्क़े में
गर्म साँसों की शब-गुज़ारी
ज़रूरतों का वो इक पुजारी
जो अपने सारे लहू के ग़ुंचे
मसाफ़त आफ़्ताब के
दस से पाँच तक के
क़बीह लम्हों के देवता के क़दम पे
क़ुर्बान कर रहा है
वो देवता
जिस ने साल-हा-साल की रियाज़त
और उस के इल्म-ओ-सलाहियत के गवाह
इन डिग्रियों के अल्फ़ाज़ को
जो इस से लिबास-ए-मफ़्हूम चाहते थे
बरहनगी दी
ज़रूरतें
इस की नन्हे पौदों
उदास होंटों
गुदाज़ बाँहों की रोज़ की हैं
ज़रूरतों का वो इक पुजारी
लहू के ग़ुंचों का ये चढ़ावा तो रोज़ का है
अभी फ़क़त तीन ही बजे हैं

  - Zaheer Siddiqui

Bekhayali Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zaheer Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Bekhayali Shayari Shayari