main ne logon se bhala kya seekha | मैं ने लोगों से भला क्या सीखा

  - Zahid Dar

main ne logon se bhala kya seekha
yahi alfaaz mein jhooti sacchi
baat se baat milaana dil ki
be-yaqeeni ko chhupaana sar ko
har qabee kund-zehan shakhs ki khidmat mein jhukaana hansna
muskuraate hue kehna sahab
zindagi karne ka fan aap se behtar to yahan koi nahin jaanta hai

guftugoo kitni bhi majhool ho maatha hamvaar
kaan bedaar rahein aankhen nihaayat gahri
soch mein doobi hui
falsafi aise kitaabi ya zabaani maano
us se pehle kabhi insaan ne dekhe ne sune
un ko batla do yahi baat vagarna ik din
o rooh din bhi bahut door nahin
tum nahin aaoge ye log kaheinge jaahil
baat karne ka saleeqa hi nahin jaanta hai
kya tumhein khauf nahin aata hai

khauf aata hai ki logon ki nazar se gir kar
haazraa daur mein ik shakhs jiye to kaise
shehar mein laakhon ki aabaadi mein
ek bhi aisa nahin
jis ka eimaan kisi aise vujood
aisi hasti ya haqeeqat ya hikaayat par ho
jis tak
haazraa daur ke jibraeel ki ya'ni akhbaar
dastaras na ho rasai na ho
main ne logon se bhala kya seekha
buzdili aur jahaalat ki fazaa mein jeena
daaimi khauf mein rahna kehna
sab barabar hain hujoom
jis taraf jaaye wahi rasta hai
main ne logon se bhala kya seekha

मैं ने लोगों से भला क्या सीखा
यही अल्फ़ाज़ में झूटी सच्ची
बात से बात मिलाना दिल की
बे-यक़ीनी को छुपाना सर को
हर ग़बी कुंद-ज़ेहन शख़्स की ख़िदमत में झुकाना हँसना
मुस्कुराते हुए कहना साहब
ज़िंदगी करने का फ़न आप से बेहतर तो यहाँ कोई नहीं जानता है

गुफ़्तुगू कितनी भी मजहूल हो माथा हमवार
कान बेदार रहें आँखें निहायत गहरी
सोच में डूबी हुई
फ़लसफ़ी ऐसे किताबी या ज़बानी मानो
उस से पहले कभी इंसान ने देखे ने सुने
उन को बतला दो यही बात वगर्ना इक दिन
ओ रूह दिन भी बहुत दूर नहीं
तुम नहीं आओगे ये लोग कहेंगे जाहिल
बात करने का सलीक़ा ही नहीं जानता है
क्या तुम्हें ख़ौफ़ नहीं आता है

ख़ौफ़ आता है कि लोगों की नज़र से गिर कर
हाज़रा दौर में इक शख़्स जिए तो कैसे
शहर में लाखों की आबादी में
एक भी ऐसा नहीं
जिस का ईमान किसी ऐसे वजूद
ऐसी हस्ती या हक़ीक़त या हिकायत पर हो
जिस तक
हाज़रा दौर के जिब्रईल की या'नी अख़बार
दस्तरस न हो रसाई न हो
मैं ने लोगों से भला क्या सीखा
बुज़दिली और जहालत की फ़ज़ा में जीना
दाइमी ख़ौफ़ में रहना कहना
सब बराबर हैं हुजूम
जिस तरफ़ जाए वही रस्ता है
मैं ने लोगों से भला क्या सीखा

  - Zahid Dar

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zahid Dar

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari