rahm-e-maadar se nikalna mera be-sood hua | रहम-ए-मादर से निकलना मिरा बे-सूद हुआ

  - Zahid Dar

rahm-e-maadar se nikalna mera be-sood hua
aaj bhi qaid hoon main

hukm-e-maadar ko main tabdeel karoon
maa ki nafrat bhari aankhon se kahi door chala jaaun main
be-niyaazi se phiroon
paap ke kaante chun kar
rooh naapaak karoon
geet shahvat ke havas ke sun kar
zehan be-baak karoon
aise jeevan ki hai hasrat ab tak
pyaar sab kahte hain vo pyaar mujhe karti hai
pyaar ki raakh tale soya pada hoon kab se
jhooth kahte hain main bezaar hua hoon sab se
phir lapak uthhega vo shola pur-ummeed hoon main
pyaar ki raakh tale dab ke hai jo dood hua

रहम-ए-मादर से निकलना मिरा बे-सूद हुआ
आज भी क़ैद हूँ मैं

हुक्म-ए-मादर को मैं तब्दील करूँ
माँ की नफ़रत भरी आँखों से कहीं दूर चला जाऊँ मैं
बे-नियाज़ी से फिरूँ
पाप के काँटे चुन कर
रूह नापाक करूँ
गीत शहवत के हवस के सुन कर
ज़ेहन बे-बाक करूँ
ऐसे जीवन की है हसरत अब तक
प्यार... सब कहते हैं वो प्यार मुझे करती है
प्यार की राख तले सोया पड़ा हूँ कब से
झूट कहते हैं मैं बेज़ार हुआ हूँ सब से
फिर लपक उट्ठेगा वो शोला, पुर-उम्मीद हूँ मैं
प्यार की राख तले दब के है जो दूद हुआ

  - Zahid Dar

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zahid Dar

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari