ek din raat ke girye ka lateefa hona | एक दिन रात के गिरये का लतीफ़ा होना

  - Aasim

ek din raat ke girye ka lateefa hona
yaani jaadu hai koi hijr puraana hona

aaj bas nafs ki sun aaj tu insaan hi rah
yaar chubhta hai tera roz farishta hona

chaar chhe roz to lagne hain magar chaand mere
mujhse ab aur nahin hoga tumhaara hona

khud se milne ki mujhe pehli dafa fursat thi
mujhpe ehsaan raha mera akela hona

khudkushi zaat pe laazim si hui jaati hai
par kisi shakhs ke hone ka dilaasa hona

ek do waqfe ubaasi ke zaroor aate hain
ghair mumkin hai koi nasr murassaa hona

maine chaaha tha madeena mein tere haath mein haath
yaani aqsaame muhabbat ka ikattha hona

एक दिन रात के गिरये का लतीफ़ा होना
यानी जादू है कोई हिज्र पुराना होना

आज बस नफ़्स की सुन आज तू इंसान ही रह
यार चुभता है तेरा रोज़ फ़रिश्ता होना

चार छे रोज़ तो लगने हैं मगर चाँद मेरे
मुझसे अब और नहीं होगा तुम्हारा होना

ख़ुद से मिलने की मुझे पहली दफ़ा फ़ुर्सत थी
मुझपे एहसान रहा मेरा अकेला होना

ख़ुदकुशी ज़ात पे लाज़िम सी हुई जाती है
पर किसी शख़्स के होने का दिलासा होना

एक दो वक़्फे उबासी के ज़रूर आते हैं
ग़ैर मुम्किन है कोई नस्र मुरस्सा होना

मैंने चाहा था मदीना में तेरे हाथ में हाथ
यानी अक़्सामे मुहब्बत का इकट्ठा होना

  - Aasim

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aasim

As you were reading Shayari by Aasim

Similar Writers

our suggestion based on Aasim

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari