in aankhon ke dar pe koi parda latka lagta hai
har chehra tere chehre ka dhundhlaa naqsha lagta hai
ehsaason ke khaalipan se aankhen andhi hoti hain
dil hota hai to rangon ka hona hona lagta hai
pehle pehle jannat tak ke vaade baandhe jaate hain
aur phir chhod diya jaata hai phir jo sadma lagta hai
vo ladka din bhar baligh hone ka naatak karta hai
raat mein gahri neend mein hota hai to baccha lagta hai
maine dilli gate ka halwa majboori mein chhod diya
asl mein teri yaad aati hai zor se fanda lagta hai
tumne gaur kiya hoga main der se chup karwaata hoon
tum jab meri khaatir roti ho to achha lagta hai
इन आँखों के दर पे कोई पर्दा लटका लगता है
हर चेहरा तेरे चेहरे का धुँधला नक़्शा लगता है
एहसासों के ख़ालीपन से आँखें अंधी होती हैं
दिल होता है तो रंगों का होना होना लगता है
पहले पहले जन्नत तक के वादे बांधे जाते हैं
और फिर छोड़ दिया जाता है फिर जो सदमा लगता है
वो लड़का दिन भर बालिग़ होने का नाटक करता है
रात में गहरी नींद में होता है तो बच्चा लगता है
मैंने दिल्ली गेट का हलवा मजबूरी में छोड़ दिया
अस्ल में तेरी याद आती है ज़ोर से फंदा लगता है
तुमने ग़ौर किया होगा मैं देर से चुप करवाता हूँ
तुम जब मेरी ख़ातिर रोती हो तो अच्छा लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aasim
our suggestion based on Aasim
As you were reading Jannat Shayari Shayari