aisi aziyaton mein kisi ki basar na ho | ऐसी अज़ीयतों में किसी की बसर न हो - Aasim

aisi aziyaton mein kisi ki basar na ho
lagta rahe ke saath koi hai magar na ho

usne bade jatan se sajaaya tha ye makaan
main chahta hoon kuchh bhi idhar se udhar na ho

jis tarah jhad raha tha plaster yahan wahan
shaayad safar se laut ke jaayen to ghar na ho

daftar ki din guzaariyaan sote mein barbadao
aise mein ek roz ki chhutti bhi gar na ho

ai yaar meri baat samajh main bhugat chuka
hona hai munhasir to kisi ek par na ho

ik raat bebaasi ne siskakar kaha khuda
bas shaam bhar ka saath bhale umrbhar na ho

iske sabab sukhun hai sukhun ke sabab hayaat
mar hi na jaayen yaar udaasi agar na ho

ऐसी अज़ीयतों में किसी की बसर न हो
लगता रहे के साथ कोई है मगर न हो

उसने बड़े जतन से सजाया था ये मकान
मैं चाहता हूँ कुछ भी इधर से उधर न हो

जिस तरह झड़ रहा था पलस्तर यहाँ वहाँ
शायद सफ़र से लौट के जाएँ तो घर न हो

दफ़्तर की दिन गुज़ारियाँ सोते में बड़बड़ाओ
ऐसे में एक रोज़ की छुट्टी भी गर न हो

ऐ यार मेरी बात समझ मैं भुगत चुका
होना है मुनहसिर तो किसी एक पर न हो

इक रात बेबसी ने सिसककर कहा ख़ुदा
बस शाम भर का साथ भले उम्रभर न हो

इसके सबब सुख़न है सुख़न के सबब हयात
मर ही न जाएँ यार उदासी अगर न हो

- Aasim
6 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aasim

As you were reading Shayari by Aasim

Similar Writers

our suggestion based on Aasim

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari