ik tafaavut hai uske mere darmiyaan
apni danaai hoti rahi be-nishaan
hijr ki raat kaaten to kaaten kahaan
gum-shuda hai zameen hai khafa aasmaan
beech mein tokna uski aadat hai yaar
aur agar poochoon to bolti hai kahaan
chhoda hai naqsh-e-pa apna dil mein mere
kitna dilkash hai in yaadon ka kaarwaan
sirf khaamoshi hi hai padosan meri
qabr hi ban gaya hai ab apna makaan
इक तफ़ावुत है उसके मिरे दरमियाँ
अपनी दानाई होती रही बे-निशाँ
हिज्र की रात काटें तो काटें कहाँ
गुम-शुदा है ज़मीं, है ख़फ़ा आसमाँ
बीच में टोकना उसकी आदत है यार
और अगर पूछूँ तो बोलती है 'कहाँ?'
छोड़ा है नक़्श-ए-पा अपना दिल में मिरे
कितना दिलकश है इन यादों का कारवाँ
सिर्फ़ ख़ामोशी ही है पड़ोसन मिरी
क़ब्र ही बन गया है अब अपना मकाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Hijr Shayari Shayari