baaki sab to aarzi sa khwaab hai | बाक़ी सब तो आरज़ी सा ख़्वाब है - Aditya agrawal

baaki sab to aarzi sa khwaab hai
tu magar is zindagi ka khwaab hai

jo ye mera shayari ka khwaab hai
waqai afsurdagi ka khwaab hai

ek dariya ret ka aankhon mein hai
aur usmein jalpari ka khwaab hai

ab talak jitni shabein bedaar ki
unmein bhi bas neend hi ka khwaab hai

uski aankhen seep ke moti jinhen
mere jaise aadmi ka khwaab hai

usko kho kar zindagi kaise chale
jisko paana zindagi ka khwaab hai

rail rassi hijr pankha aashiqi
aarzoo-e-khudkushi ka khwaab hai

बाक़ी सब तो आरज़ी सा ख़्वाब है
तू मगर इस ज़िन्दगी का ख़्वाब है

जो ये मेरा शायरी का ख़्वाब है
वाक़ई अफ़सुर्दगी का ख़्वाब है

एक दरिया रेत का आँखों में है
और उसमें जलपरी का ख़्वाब है

अब तलक जितनी शबें बेदार की
उनमें भी बस नींद ही का ख़्वाब है

उसकी आँखें सीप के मोती जिन्हें
मेरे जैसे आदमी का ख़्वाब है

उसको खो कर ज़िन्दगी कैसे चले?
जिसको पाना ज़िन्दगी का ख़्वाब है

रेल, रस्सी, हिज्र, पंखा, आशिक़ी
आरज़ू-ए-ख़ुदकुशी का ख़्वाब है

- Aditya agrawal
0 Likes

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aditya agrawal

As you were reading Shayari by Aditya agrawal

Similar Writers

our suggestion based on Aditya agrawal

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari