hamko bhoola hai to phir yaar bhulaaye rakhe | हमको भूला है तो फिर यार भुलाए रक्खे - Lokendra Faujdar 'Aham'

hamko bhoola hai to phir yaar bhulaaye rakhe
dil kahi aur hai lagta to lagaaye rakhe

mera eimaan na maane main churaau kaise
usko dena hai agar dil to khud aaye rakhe

de ke khidki se sadaaein vo bulaaye mujhko
aur sitam ye ki vo darwaaza lagaaye rakhe

vo hamesha hi ishaare kare awaaz nahin
yaani bas mujhse kahe sab se chhupaaye rakhe

koi kab tak meri jaan darmiyaan tik paayega
kaun baadal sada chanda ko chhupaaye rakhe

aazmaaya hai humein khoob hi qismat ne magar
hum ne angad ki tarah paanv jamaaye rakhe

हमको भूला है तो फिर यार भुलाए रक्खे
दिल कहीं और है लगता तो लगाए रक्खे

मेरा ईमान न माने, मैं चुराऊँ कैसे
उसको देना है अगर दिल तो ख़ुद आए, रक्खे

दे के खिड़की से सदाएँ वो बुलाए मुझको
और सितम ये कि वो दरवाज़ा लगाए रक्खे

वो हमेशा ही इशारे करे, आवाज़ नहीं
यानी बस मुझसे कहे, सब से छुपाए रक्खे

कोई कब तक मिरी जाँ दरमियाँ टिक पाएगा
कौन बादल सदा चंदा को छुपाए रक्खे

आज़माया है हमें ख़ूब ही क़िस्मत ने मगर
हम ने अंगद की तरह पाँव जमाए रक्खे

- Lokendra Faujdar 'Aham'
3 Likes

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lokendra Faujdar 'Aham'

As you were reading Shayari by Lokendra Faujdar 'Aham'

Similar Writers

our suggestion based on Lokendra Faujdar 'Aham'

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari