zeest kii ab kamaan yun kham ho
umr bhar mere saath hamdam ho
ab khuda nematein hamein bakshe
chaand jaisi hamaari begam ho
khaamoshi beqaraar kar baithi
lab khulen to ye saans madhham ho
kaash jannat hamein mile aisi
har taraf aashiqana mausam ho
gar mila to kahunga main usse
tum amaavas tumhi to poonam ho
ज़ीस्त की अब कमान यूँ ख़म हो
उम्र भर मेरे साथ हमदम हो
अब ख़ुदा नेमतें हमें बख़्शे
चाँद जैसी हमारी बेग़म हो
ख़ामुशी बेक़रार कर बैठी
लब खुलें तो ये साँस मद्धम हो
काश जन्नत हमें मिले ऐसी
हर तरफ़ आशिक़ाना मौसम हो
गर मिला तो कहूँगा मैं उससे
तुम अमावस तुम्ही तो पूनम हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amaan Pathan
our suggestion based on Amaan Pathan
As you were reading Kashmir Shayari Shayari